Ehd e Wafa Presents: Ranjish hi Sahi Dil hi Dukhane Ke Liye aa || #AhmadFaraz Best Poetry || Ehd e wafa

This another wonderful piece of #urdupoetry by the legend poet Ahmad Faraz. You can say his one of the Best Urdu Poetry Gazal Rajish hi Sahi. The Ranjish hi Sahi Dil hi Dukhane Ke Liye aa lyrics are also added below.

ranjish hī sahī dil hi dukhane ke liye aa
aa phir se mujhe chhoḌ ke jaane ke liye aa


kuchh to mire pindar-e-mohabbat ka bharam rakh
tu bhi to kabhī mujh ko manāne ke liye aa


pahle se marasim na sahi phir bhi kabhi to
rasm-o-rah-e-duniyā hi nibhane ke liye aa


kis kis ko bataengy judā-i ka sabab hum
tu mujh se ḳhafa hai to zamane ke liye aa


ik umr se huun lazzat-e-girya se bhi mahrum
ai rahat-e-jān mujh ko rulane ke liye aa


ab tak dil-e-ḳhush-fahm ko tujh se haiñ ummiden
ye aḳhiri sham.en bhi bujhane ke liye aa